Sunday, July 13, 2014

Pinjare Ka Panchi

Pinjare ka panchi,
Dekhta hai aasman ko ektak,
Sochta hai sansaar kaisa hai?
Usme udne ki chah hai.

Log kehne ko kehte hai,
Sundar hai pinjara,
Hoti hai sab sukh suvidha,
Jo kabhi kabhi lagti hai duvidha.

Ek din jab darwaja khula,
panchi ne pankh nikale,
Udd chala,
aaneele gagan mein,
Aasmaan ko chirte hue,
Jaise wo kabhi na rukna chahe.
Par hai to wo,
Ek pinjare ka Panchi.

Usko ab hawa se talmel baithana hoga,
Vayu ke saath bhi aur uske wiprit bhi,
Abhi to panchi ne duniya dekhi nai,
bas aazadi ka swad chakha tha.
Par kya kare wo to hai,
Ek pinjare ka Panchi.

Ant mein bhuka, pyasa panchi,
Ghar laut aaya,
Fir wahi pinjaremein,
Aata kyu na?
Akhir wo tha,
Ek pinjare ka Panchi.

Jisko wo pinjara samajh raha tha,
Ant mein uska wo ghar ban gaya tha,
Aur pinjara uska sansaar,
kya panchi fir se udega?
Ya fir bankar reh jaega,
Ek pinjare ka Panchi.

No comments:

Post a Comment