Jashan ka sama saara
Hai kuch naya naazara
jhuki palkon se dekha
tha yeh sansaar
ab dikh raha hai kuch naya
bachpan ka bholapan
ab tak nai gaya
bado ki samjhdari
ab tak nai aayi
ab bhi bachon ki tarah
choti baton par khilkhilana
bat bat par gussa karna
muh banana nai gaya
Masti mein kiye majaak
ab bhi ankh mein moti
ki tarah simte hai
kuch baatein abhi adhoori hai
Jashan ka sama saara
yaadon mein ek chota sa sansaar tha
jo le raha kuch naya aakar hai
Fir bhi mein kehti hun
Hai kuch naya naazara
kyunki
Jashan ka sama saara
jo humko hai nai bhulana
No comments:
Post a Comment