Sunday, July 13, 2014

Pinjare Ka Panchi

Pinjare ka panchi,
Dekhta hai aasman ko ektak,
Sochta hai sansaar kaisa hai?
Usme udne ki chah hai.

Log kehne ko kehte hai,
Sundar hai pinjara,
Hoti hai sab sukh suvidha,
Jo kabhi kabhi lagti hai duvidha.

Ek din jab darwaja khula,
panchi ne pankh nikale,
Udd chala,
aaneele gagan mein,
Aasmaan ko chirte hue,
Jaise wo kabhi na rukna chahe.
Par hai to wo,
Ek pinjare ka Panchi.

Usko ab hawa se talmel baithana hoga,
Vayu ke saath bhi aur uske wiprit bhi,
Abhi to panchi ne duniya dekhi nai,
bas aazadi ka swad chakha tha.
Par kya kare wo to hai,
Ek pinjare ka Panchi.

Ant mein bhuka, pyasa panchi,
Ghar laut aaya,
Fir wahi pinjaremein,
Aata kyu na?
Akhir wo tha,
Ek pinjare ka Panchi.

Jisko wo pinjara samajh raha tha,
Ant mein uska wo ghar ban gaya tha,
Aur pinjara uska sansaar,
kya panchi fir se udega?
Ya fir bankar reh jaega,
Ek pinjare ka Panchi.

Saturday, February 15, 2014

Khat

Likhe jo khat tujhe
kai baar
baar baar
Par reh gaye wo
Har baar
mann ke ek kone mein

Kalam haath mein lekar
bas
Ek khyal aata hai
Likhu Ya
Na Likhu
Jao nahi likhti
Par mann hai jo
Pankh lagaye Sapne bunta hai

Lagta hai
Yahi hai khaash
Kuch naya kuch purana
Kuch apna sa
Aisa Ajnabee jisse milne ka mann
karta hai Baar baar
Par kismat ka kya khel hai
Bas reh jaata hai Mann khyalo mein

Kya khat likhu?
Mann ki baaton ko,
sabdo se aakaar du?
shyad abhi sahi samay nahi hai
Par likhungi Khat ek din
bas tmhare liye

Jaate jaate hi sahi
Ajnabee ko Apna bana ker
Yadoon ko lekar
Naye safar se pehle,
Is ummid mein ki wo
Humsafar ban jaye.