Wednesday, May 30, 2012

Muskurahat

Logon ne apne andar ki khushi
chupa di hai
wo apne ko kho chuke hai
aur duniya mein itna phans gaye he
ki muskurane ka samay bhi nahi hai

Wo is banatwati duniya ko apnane ke chakker mein
khud ek nakli murat ban gaye hai..
ki us murat ki nakkasi pakki ho gayi hai

Logon ko apne andar chupe insan ko jagana hoga
bandhi bediyon ko hata hoga
warna wo bas is sansaar mein bada
kaidi hoga jo apni khusi se
bandh gaya aur wo niklana nahi chahta

bachpan  mein lagta tha ki kitna achi duniya hai
ab lagta hai ki kitni kathore duniya hai
mein ma se puchti thi bade log kyu nahi muskurate
wo muskurake bolti mein to muskura rahi hun

Pata nahi tha ki itni kathin duniyan hai
aur muskurane ka man mano mar jaega...
Ab log muskurate to hai bas us mein
chippi sachai koi nahi jante..